Skip to main content

Share Market Se Paise Kaise Kamaye | शेअर मार्केट से पैसे कैसे कमाए

Share Market Se Paise Kaise Kamaye | Share market kya hai .शेअर मार्केट से पैसे कैसे कमाए


Hello Dosto! Aaj ke apne iss lekh main hum aapko yeh batayenge ki Share Market Se Paise Kaise Kamaye ya yu kahe ki share market main utarne se pahle hume kin kin baato ka khas taur par dhyan rakhna chahiye. Share market ek ayesi cheez hain jo kabhi bhi apna roop badal sakti hain. Isiliye share market main utarne se pahle hume kucch baato ke bare main khas taur par aur acche se jankari rakhna chahiye. Toh dosto chaliye jante hain ki share market main paise ko invast karne se pahle hume kya kya savdhania rakhni chahiye.


Share kisi company ka hissa hota hai jise company dwara jari kiya jaat hai. Is hisse ko aap paise dekar khareed sakte hain aur iskay badle main company apko jitne share aapne khareede hain unka certificate jaari karti hai. Ab company ke share ki keemat ghati bhadi rehti hai. Is hisab se yadi ek saal baad company ke share ki kimat pehle ki kimat se 50 Rs. badh gai to jitne share aapne khareeden hain us hisab se aapko un share ko bechane par fayada ho jaata hai. Kabhi kabhi company ke share gir bhi jaate hain. Aise sthiti mein apne share nahi bechen aur unke badhne ka intezaar karen. Company ke share kabhi bhi beche jaa sakte hain.




Share ko khareedne ya bechne ke liye yani share ka kaam karne ke liye ek demate account ki zaroorat hoti hai aur phir apke saare shareo ka vyavsaay apke is demat account ke dwara hi hota hia. Is account mein aapke dwara khareede aur beche gaye sabhi shareo ka lekha jokha hota hai.  Isliye sabse pehle demat account khulwana zaoori hai. Demat account ko khulwane ke liye aap kisi bhi share broker yani dalal ke paas chale jaayen. Woh aapka PAN cad dekhkar aapka demat account khol dega. Ab aap apne naam se share ko kareed aur bech sakenge.

Share ko khareedne ka tarika

Share ko khareedne ke liye aap ushi dalal par jaayen jis se aapne demat account khulwaya hai. Share market badhta aur girta rehta hai. Jab share bazaar gir raha ho tab aapko shareon ko kharidana chahiye. Is say apko share saste bhav mein mil jaayenge. Dhyan rakhen ki share hamesha girte bazzra main kharidna chahiye aur uthte huay bazar mein bechana chahiye.

Kab hota hai share bazar ka kaam

Share bazaar ka kam saptah mein 5 din somvaar se shukravaar ko hota hai. Share bazaar subah 9 baje khul jaata hai aur shaam ko 3 bajkar 15 minute par band ho jaata hai. Bhaarat mein do stock exchange hain jahan se saare share bazar ko niyantrit kiya jaata hai. Yeh hain National Stock Exchange (NSE) aur Bombay Stock Exchange (BSE). Share ka kaam karne se pehle share bazaar mein prachilit kuch shabdon ko janna bhi zaroori hai. Yeh shabd hain Low yani us din ke nichle star ka share ka maan, High yani us din ke uchtam star ka share ka maan, Volume yani shareon ki sankhya, Bid yani share kharedane ki sankhya, Bid quantity yani share khareedane ke liye uplabdh shareon ki sankhya.

Share Bazaar se roz kaise kamayen paisa

Share bazar se aap raoz bhi paisa kama sakte hain par yeh kaam thoda sa  jokhim purna ho sakta hai. Iskay liye aapke paas nivesh ke liye itna paisa bhi hona chahiye jise aap tatkal nivesh kar sakte hain. Isamy apko roz subah share khareed kar roz shaam ko usay bechana hota hai. Aap dalal ke pass jaayenge aur ussay poochencge ki subah bazaar khulne par share ka kya bhav hai aur shaam tak kuan sa share badh sakta hai. Maan lijiye usnay ABC company ka share bataya ki uski kimat 20 Rs. hai. Ab apne us company ke 5000 share kahreed liye jinki kul kimat 20 Rs. prati share ke hisab se 1 lakh ho gayi.
>>upload file make money
Ab aap shaam ko dekhte hain ki woh share 21 Rs. ke ho gaye hain aur aap saare share shaam ko bech dete hain to apko 1 Rs. prati share ke hisab se 5000 Rs. ka fayada ho gaya. Lekin agar share 1 Rs. na badhkar 1 Rs. gir jaata to apko 5000 Rs. ka ghata bhi ho sakta tha. Aise mein Ya to aap share bechkar ghata uthayen ya phir 1 lakh Rs. nivesh karke share ke badhne ka intazaar karen kyonki har share ko khareedne par uska paisa shaam ko bharna hi hota hai. Isliye is tarah ke share se paisa kamane mein thodi si savdhani rakhni padti hai. Lekin jo jaankar hain who is tarah share khareed kar aur bechkar roz hi munafa kamate hain. Yeh share bazar se jaldi aur roz paisa kamanay ki vidhi hai.
Share market se paise kamane ke liye niche diye gaye baato ka khas taur par dhyan rakhna zaruri hota hain.
  1. Agar aap share market main paise ko invast karke kisi bhi tarah ke loss ka samna nahi karna chahte aur share market se paisa kamana chahte hain toh aap sabse pahle balance sheet aur company ke results ko padhna aur samajhna sikhe. Agar aapki padhai commerce stream se nahi hui hain toh aap aur jada savdhan rahe. Aap bazar ke bare main jada se jada jankari rakhe. Agar possible ho toh aap regular economic times jaisi newspaper padhe aur CNBC awaz jaisi channels ko dekhe. Iske alawa bhi aap internet par nivesh related jankaria ekattha kare. Jab aap share market ke bare main maximum jankari hasil kar le aur aapka atmavishwas pakka ho jaye tabhi aap share market main apne paiso ko invast kare.
  2. Jab aapka atmavishwas mazbut ho jaye tab bhi aap nivesh karne se pahle kam se kam 3 – 4 company ko select kar le, jaha aapko lage ki yaha par nivesh karna sahi rahega. Company ko select karne ke baad bhi aap unn companies ke bhavo par kuchh din nazar rakhe. Kam se kam 1 – 2 mahina aap unn selected companies ke bhavo par regular nazar rakhe, uske baad agar aapko lage ki aapka chunav sahi hain, tabhi aap uss company ke sath jude.
  3. Jab aap share market main apne paiso ko invast karne jaye toh suru main bahut kam pariman main apni rashi ko invast kare. Kyuki share market ka koi bharosha nahi hota hain, aur pahli baar zahir si baat hain ki aapka experience bhi zada nahi hoga. Toh aap pahle pahle kam hi paise ko invast kare. Ayesa karne se agar loss bhi hoga toh aapko kam pariman main hi loss ka samna karna parega, aur agar aapko profit hoga toh pahli baar ke experience se aap baad main aur zada pariman main paiso ko invast karke zada profit kama sakte hain.
  4. Kabhi kabhi kuchh log jada profit kamane ke chakkar main share ka bhav aur jada badhne ke intezar main lage rahte hain, aur issi chakkar main woh log tab apne shares ko sell nahi karte jab share ka bhav thoda jada hota hain. Ayesa karne se unka paisa market main hi fans jata hain aur woh naya share nahi kharid pate. Aur kabhi kabhi toh shares ka rate itna gir jata hain ki profit hone ke bazay ghata hi lag jata hain.
Toh aap logo ne dekh ki hume share market main paise ko invast karne se pahle kya kya karna chahiye. Toh dosto! Bas ab aap ko tricks ko follow kariye aur share market main paise ko invast karke profit kamane ke liye apne aapko puri tarah se taiyar kar lijiye.

ye post pasand aaye to plzz comment box me jarur likhe
                                    writed by,Niteen p
Thanks to reding post


Comments

  1. Thanku sir Aap ka post Bahut Achha laga Bahut sikhne Ko mila

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

facebook hack kare & password pataa kare,100% TRUST 2017

Facebook Ko Kaise Hack Kare Aur Kaise Kisi Ka Password Pata Kare 2017 Hello dosto ye mera hindi language me  dusra  post hai ,Agar aapne pehla post miss kar diya hai jisme m aine whatsapp hacking ke 2 method bataye the to aapko wo padhna ch ahiy e . Lekin aaj  main aapko bataunga ki kaise hacker log aapka fb account hack kar lete aur aapki sari jankari ko chura lete hai ,sirf facebook hi kyon aap gmail ,yahoo,twitter ko yanha par diye gaye method se hack kar sakte hai.   kuchh methods hote hai jinki help se hum fb ko hack karte hai baise aapko batat chalu ki facebook ko hack karne ke sabse achhe 4 tarike hote hai jinme pehla ho gaya phishing method,dusra man in the middle attack(MITM) ,teesra  h o gaya keylogger method  (Main is method par alag  se ek post likh chuka hoon detail  me aap agar padhna chahte ho to is link par jayiye keylo gger method facebook hack ke liye) ,aur chautha hota hai desktop method inke alava bhi 2 me...

K.G.F Chapter 2 FULL MOVIE HD facts | Yash | Srinidhi Shetty |Sanjay D |Prashanth N | Hombale Films

KGF 2 -Yash 720p, 1080p Full HD Movie Download In Hindi Dubbed  50,000 people search the project KGF 2 Movie on the Internet through Google and many other mediums, including you. Have you also come to  download KGF 2 Full Movie , then stay with us on this post. KGF 2 -Yash Movie Name KGF 2 Release date 21 December 2019 (India) Genre Drama/Thriller Film 2h 50m Director Prashanth Neel Budget est. 100 Cr.  Music Director Ravi Basrur KGF 2 ( KGF Chapter 2) -Yash 720p, 1080p Full HD Movie Download In Hindi Dubbed  Director: – Prashanth Neel Producer: – Vijay Kirgandur Author: – Prashanth Neel Screenplay: – Prashant Neel Story: – Prashanth Neel Narrator: – Anant Nag Actors: – Yash, Srinidhi Shetty, Anant Nag, Malvika Avinash, Vashistha N. Simha Music Director: – Ravi Basur Cinematographer: -Bhuvan Gowda Editor: – Srikanth Studio: – Hombley Film Distributors KRG Studios (Kannada), Excel Entertainment & AA Films (Hindi), Vishal Film Factory (Tamil), Varahi Film (Telugu),...

Maime Z10 Ultra 6 GB RAM 128 GB ROM 32MP Tripple Camera Smartphone 4000 mAh Battery

  0 SEARCH Mobile Phone Tablet Wish List Sign In Previo Maime Z10 Ultra 6 GB RAM 128 GB ROM 32MP Tripple Camera Smartphone 4000 mAh Battery Availability: In Stock (Based on 463 Ratings) & 7 Reviews  Verified Purchase (8177) MRP:  ₹13,499 Selling Price :  ₹4,399/-      67% off OFFER PRICE :  ₹3,399/- only You Get 23% Additional Discount Paying through  PAY TM  (Debit, Credit Card/ Wallet/ Net Banking). OFFER ENDS IN 15 Hours 11 Minutes 37 Seconds   ADD TO CART    BUY NOW Delivers to CHECK  Usually Delivers within 7-10 days* Standard Shipping Free 7 Day Return Policy DESCRIPTION All Pictures shown are for Illustration Purpose Only. Actual Product may Vary Due to Continuous Product Enhancement. SPECIFICATION BASIC INFORMATION In The Box Handset (Non-removable Battery Included), Earphones, Travel Adapter, USB Cable, Ejection Pin, User Manual Brand  Maime Model Name Z10 Ultra Color Black Browse Type Smartphon...